Namaz-e-Nabawi (Takbeer-e-Oula se Salaam tak) Saheeh Hadees ki Roshni Mein


namaz

Namaz E Nabawi:
(Takbeer-e-Oula Se Salaam Tak)
Sahih Aahadees Ki Roushni Mein.
Romanised By: Syed Ibraheem Salafi.

NABI-E-KAREEM (ﷺ) NE FARMAYA:

“TUM IS TARHA NAMAZ PADHO JIS TARHA TUM MUJHE NAMAZ AADA KARTEY HUWE DEKHTEY HO.”[Sahih Bukhaari #Hadees: 631]

HADEES E ABU HAMEED SAADI (RADHI ALLAHU ANHU)

Syedna abu hameed saadi (radhi allahu anhu) se riwayat hai ke unhune Rasoolullah (ﷺ) ke 10 sahaba (radhi allahu anhum) (ki jammaat) mein kahan ke “main tum (sab) se zyada Rasoolullah (ﷺ) ka tariqa e namaz ko jaanta ho, sahaba kiraam (radhi allahu anhum) ne kahan: wo kaise, na tou tum aap (ﷺ) ke paas ziyada aatey rahe ho aur na hum se ziyad aap ki sohbat mein rahe ho? unhune jawaab diya: han (waqai surate haal tou yehi hai)_ (ye sun kar) sahaba kiraam (radhi allahu anhum) ney un se kahan: phir (hummare rubaru Rasoolullah (ﷺ) ki namaz) bayaan karo_ syedna abu hameed saadi (radhi allahu anhu) ne kahan:

“Jab Rasoolullah (ﷺ) namaz ke liye khade hotey tou aapne dono hath kandho ke barabar utthatey phir takbeer (tehrima) kehtey, phir Qur’an padtey, phir (ruku ke liye) takbeer kehtey aur aapne dono hath kandho ke barabar utthatey, phir ruku kartey aur aapni hateliya aapne ghotno par rakhtey, phir (ruku ke dauraan) kamar seedhi kartey, bas na aapna sar jhukatey aur na buland kartey_(paeet aur sar hamwar rakhtey) aur phir apna sar ruku se uttahtey tou kehtey (sami allaahu liman hamidah), phir aapne dono hath utthatey yahan tak ke inhe apne kandho ke barabar kartey, aur (qaoma mein atmenaan se) sidhe khade ho jatey aur (Allahu’Akbar) kehtey, phir zameen ki taraf sajde ke liye jhuktey, bas apne dono hath (bazo) aur pehlo rano (aur zameen) se door rakhtey aur apne dono paaon ki ungliya khol letey (is tarha ke ungliyo ke sar qibla ruq hotey), phir apna sar sajde se utthatey aur apna bayan paaon mortey (bichaa letey), phir us par baithtey aur seedeh hotey yahan tak ke har haddi apni jagha par aajati (bade atmenaan se jals mein baithtey), phir (doosra) sajda kartey, aur (Allahu’Akbar) kehtey aur uthtey aur apna baya paaon mortey, phir us par baithtey aur dil jami se aitedaal kartey yahan tak ke har haddi apne thikane par aajati (atmenaan se jalse isterahat mein baithtey), phir (doosri rakat ke liye) khade hotey, phir is tarha dusri rakat mein kartey, phir jab do rakkat padh kar khade hotey tou (Allahu’Akbar) kehtey aur apne dono hath kandho ke barabar utthatey, jaise namaz ke shuru mein takbeer e oula ke waqt kiya tha, phir is tarha apni baqi namaz mein kartey yahan tak ke jab wo sajda hota jis ke baad salaam hai (aakhri rakkat ka dusra sajda jis ke baad baith kar tashahud, darood aur dua padh kar salaam phairtey hai) tou apna baya paaon (dayin pindli ke niche se) bahat nikaal letey aur bayin janib, kholey (sireen) par baithtey, phir salaam phairtey.”

(ye sun kar) in sahaba kiraam (radhi allahu anhu) ne kahan: (aye abu hameed sadi!) tuney sach kahan: Rasoolullah (ﷺ) is tarha namaz padha kartey thaye…

[Sunan Abi Dawood #Hadees: 730 Wa Sanad Sahih, Wa Jamia Tirmidhi #Hadees 304. Ibne Hibbaan Ney Al Mawaarad, #Hadees: 491 Mein, Tirmidhi Ney Aur Nawawi Ney Al Majamo: 407/3 Mein Essey Sahih Kahan Hai] (is hadees se behat si baate maloom hoti hai jin mein se ek ye hai ke ke sahaba kiraam (radhi allahu anhum) ke nazdeek Rasoolullah (ﷺ) ki wafaat tak rafaulyadaeen mansooq nahi huwa) 

 

NAMAZ KI NIYAT:

Rasoolullah (ﷺ) ne farmaya: “Aamalon ka daar-o-madaar niyaton par hai.”

[Sahih Bukhaari #Hadees: 1, Wa Sahih Muslim #Hadees: 1907]

Niyat chuken dil se taluq rakhti hai, is liye zubaan se alfaaz aada karne ki zarorat nahi hai, aur niyat ka zubaan se aada karna Rasoolullah (ﷺ) ki Sunnat nahi hai aur na Sahaba (Radhi Allahu Anhum) ke Aamal se sabit hai, (lehaza zubaan se kehna Biddat hai) (tafseel ke liye namaz-e-nabawi safa 180 dekhe)

QIYAAM:

Syedna Imran Bin Haseen (Radhi Allahu Anhu) bayaan farmatey hai: mujhe bawasiri ki takleef thi_ Nabi (ﷺ) ne farmaya:

“(Mumkin ho tou) khade ho kar namaz aada karo, aagar taqat na ho tou baith kar, aagar baith kar aada karne ki bhi taqat na ho to laeet kar (namaz aada karo).”

[Sahih Bukhaari #Hadees: 117]

 

SAFO’N KO SEEDHA KARNA: 

Anas RaziAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:

‘Safo’n ko seedha karo aur aapas mein nazdeek, nazdeek khade ho tehqeeq main tumhei’n pas e pusht bhi dekhta hu’n (ye Aap ka muajjeza tha). Anas kehte hain ke ham mein se har shaqs (safo’n mein) apna kandha doosre ke kandhe se aur apna qadam doosre ke qadam se mila deta tha.’

(Sahih Bukhari: al Azan 725 – Muslim: 434)

Abdullah bin Umar se riwayat hai ke Rasool Allah Sallallahu Alahi Wasallam ne farmaya:

‘Safo’n ko qaem karo, kandhe baraabar karo, (safo’n ke andar) in jagaho’n ko pur karo jo khaali reh jaaei’n, apne bhaiyo’n ke hatho’n mein narm ho jaao, safo’n ke andar shaitan ke liey jagah na chodo aur jo shaqs saf milaaega Allah bhi ise (apni rahmat se) milaaega aur jo saf ko kaatega Allah bhi apni rahmat se isko kaat dega.’

{ Abu Dawood: 666 }
Ise Imam Haakim V1 P213, Imam Ibne Khuzaima (#549), Imam Zahabi aur Imam Nawavi ne Saheeh kaha. 

 

TAKBEER-E-OULA: 

Qible ki janib mou(face) kar ke (Allahu’Akbar) kehtey huwe rafaulyadaeen kare. yani dono hath kandhon tak utthayen_

Syedna Abdullah Bin Umar (Radhi Allahu Anhu) farmatey hai:

“Maine Nabi-E-Kareem (ﷺ) ko dekha, Aap ney namaz ki pehli takbeer kahi aur apne dono hath kandho tak utthayen.”

[Sahih Bukhaari #Hadees: 738]

Hath utthatey waqt ungliya (normal tariqe par) khuli rakkhaye. na ungliyo ke darmiyaan zyada fasla kare na ungliya milaye.

[Al Mustadrak Lil Hakim #Hadees: 856 Wa Sanad Hasan Imam Hakim Ney Al Mustadrrak 234/1 Mein Aur Hafiz Zehbi Ney Essey Sahih Kahan Hai. Wa Sunan Abu Dawood #Hadees: 753 Wa Jamia Tirmidhi #Hadees: 240 Wa Sanad Hasan]

Rasoolullah (ﷺ) dono hath kandhon tak utthatey.

[Sahih Bukhaari #Hadees: 735 Wa Sahih Muslim #Hadees: 390]

Nabi-E-Kareem (ﷺ) (kabhi kabhi) hath kano tak buland farmatey.

[Sahih Muslim #Hadees: [25] 391]

Wazahat: Hathon se kano ko chune ki koi daleel nahi hai, lehaza in ko chona biddat hai. 

 

NAMAZ MEIN IDHAR UDHAR NA DEKHE: 

 

 

Anas bin Maalik RaziAllahu Anhu bayan karte hain ke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:

‘Logo’n ka kya haal hai ke wo namaz me apni nigahei’n oopar uthaate hain. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne saqht tambeeh karte hue farmaya:
Log aisa karne se baaz aajaaei’n warna inki nazrei’n uchak lee (T: They will becom blind) jaei’ngi.’

{Sahih Bukhari: 750 }

Ummul Momineen Hazrath Aaisha RaziAllahu Anha bayan kari hai ke : “ Main ne Rasool Allah Sallallahu Alahi Wasallam se namaz me idhar udhar dekhne ke bare me sawal kiya to Aap ne farmaya:

‘Namaz me idhar udhar dekhna bande ki namaz me shaitaan ka hissa hai.’

{Sahih Bukhari: al Adhaan 751}

 

SEENE PAR HATH BANDHNA: 

Phir dayan(right) hath bayen(left) hath par rakh kar seene par bandha ley..

Syedna Wail Bin Hujar (Radhi Allahu Anhu) Nabi-E-Kareem (ﷺ) ka namaz ka tariqa bayaan kartey huwe farmatey hai ke:

“Aap ney dayan hath bayen hath ki hateli (ki pusht) uske jod aur kalayi par rakkha.”

[Sunan Nasaayi #Hadees: 890 Wa Sanad Sahih Essey Imam Ibne Hibbaan Al Mawarad #Hadees: 485 Mein Aur Ibne Kuzaima Ney #Hadees: 480 Mein Essey Sahih Kahan Hai]

Syedna Sahal Bin Saad (Radhi Allahu Anhu) se riwayat hai ke lougon ko Rasoolullah (ﷺ) ki taraf se ye hukm diya jaata tha: “Namaz mein dayan hath bayen ziraa (kalayi) par rakkhe.”

[Sahih Bukhaari #Hadees: 740] 

Syedna Hulb Tayee (Radhi Allahu Anhu) farmatey hai ke maine Rasoolullah (ﷺ) ko seeney par hath rakkhe huwe dekha.

[Musnad Ahmed: 226/5, Wa Sanad Hasan]

Seene par hath bandh kar ye dua padhe:

●اللهمّ باعد بيني وبين خطاياى كما باعدتّ بين المشرق والمغرب اللهمّ نقّنى من الخطايا كما ينقّى الثّوب الابيض من الدّنس، اللهمّ اغسل خطاياى بالمآء والثلج والبرد●

[Sahih Bukhaari #Hadees: 744 Wa Sahih Muslim #Hadees: 598]

Phir taauzu padhe:

●اعوذ بالله السّميع العليم من الشّيطان الرّجيم من همزه ونفخه ونفثه●

[Sunan Abu Dawood #Hadees: 775 Wa Sanad Hasan, Imam Ibne Kuzaima Ney #Hadees: 467 Essey Sahih Kahan Hai]

 

QIRAAT:

Phir surah fatiha padhe..

Syedna Anas (Radhi Allahu Anhu) farmatey hai ke Nabi(ﷺ) hazrat Abu Bakr aur Umar (Radi Allahu Anhuma) qiraat “alhumdulillahi rabbil aalameen” se shuru kartey…

[Sahih Bukhaari #Hadees: 743 Wa Sahih Muslim #Hadees: [52] 399]

Syedna Anas (Radhi Allahu Anhu) kehtey hai ke maine Rasoolullah (ﷺ), Syedna Abu Bakr (Radhi Allahu Anhu), Syedna Umar Aur Syedna Usman (Radhi Allahu Anhuma) ke peechey namaz padhi wo buland awaaz se “bismillah hir-rahman nir-raheem” nahi padhtey thhey…. (yane aap “bismillah hir-rahman nir-raheem” sirran(aahistey) padhtey thhey)

[Sahih Muslim #Hadees: 399]

Rasoolullah (ﷺ) ney farmaya: “Jis shaksh ney (namaz mein) surah fatiha nahi padhi us ki namaz nahi.”

[Sahih Bukhaari #Hadees: 756, Wa Sahih Muslim #Hadees: 394]

Syedna Abu Huraira (Radhi Allahu Anhu) bayaan kartey hai ke Rasoolullah (ﷺ) ney farmaya:

“Jis shaksh ney namaz padhi aur us mein surah fatiha na padhi, bas wo (namaz) naqis hai, naqis hai, naqis hai, puri nahi” Syedna Abu Huraira (Radhi Allahu Anhu) se pouchha gaya ke hum imam ke peechey hotey hai (phir bhi padhe?) tou Syedna Abu Huraira (Radhi Allahu Anhu) ney kahan: (han!) tou isko dil mein padho.

[Sahih Muslim #Hadees: 395] 

Asr Wa Zohar Ki Namaz Mein Qiraat:

Syedna Abu Qatadah (Radhi Allahu Anhu) se riwayat hai ke: “Rasoolullah (ﷺ) zohar wa asr ki pehli do rakaton mein surah fatiha aur koi ek surat padhtey aur aakhri do rakaton mein sirf fatiha padhtey thhey aur kabhi kabhaar humme ek aadha aayat (buland awaaz se padh kar) suna deytey thaye.”

[Sahih Bukhaari #Hadees: 776, Wa Sahih Muslim #Hadees: 451] 

Akele Namaz Ki Qiraat:

Nafe Rahimahullah Sayyiduna Abdullah Bin Umar (Radhi Allahu Anhu) ke bareme bayaan kartey hai:

“Aap (Radhi Allahu Anhu) jab akeley namaz aada kartey, tou charon rakaton mein suraf fatiha aur quran e kareem ki koi surat padhtey.”

[Al Muatta Imam Malik: 26, Wa Sanadahu Sahih]

 

AAMEEN KA MASALA:

(jab aap aakele namaz padh rahe ho to aameen aahista kahe. jab zohar aur aasar imam ke pichey padhe to bhi aahista kahe)

(lekin jab aap jehri namaz mein imam ke pichey ho (jis mein qiraat unchi awaaz se ki jaye) tou jis waqt imam (waladh dhaaleen) kahen tou aap ko unchi awaaz se aameen kehna chahiye, balke imam bhi sunnat ki pairwi mein aameen pukar kar kahen, aur muqtadiyo ko imam ke aameen shuru karne ke baad aameen kehna chahiye)

Jehri namazon mein imam aur muqtadi aameen bil jahr kahen.

Syedna Wail Bin Hujar (Radhi Allahu Anhu) riwayat kartey hai ke maine suna Rasoolullah (ﷺ) ney (gairil maghdhoobi aalaihim waladh dhaaleen) padha, phir aap ney buland awaaz se ameen kahi.

[Sahih Sunan Abi Dawood #Hadees: 932 Wahuwa Hadees Sahih, 933 Wa Sanad Hasan Wa Jamia Tirmidhi #Hadee: 248 Imam Tirmidhi Ney Essey Hasan Kahan]

Hazrat Abu Huraira (Radhi Allahu Anhu) farmatey hai ke Rasoolullah (ﷺ) ne farmaya:

“Jab imam aameen kahen tou tum bhi aameen kaho, jis shaksh ki aameen fariston ki aameen ke maufiq ho gayi tou uske pehle sab gunha maaf kar diye jatey hai.”

[Sahih Bukhaari #Hadees: 780 Wa Sahih Muslim #Hadees: 410]

Mazeed Dalail:

((hasan) Sunan Al Kabeer Lil Bihaqi: 58/2, #Hadees: 2452, Wa Sahih Ibne Kuzaima #Hadees: 571, Wa Sanad Hasan Li Zatihi, Imam Ibne Hibbaan Ney Al Mawaarad, #Hadees: 462 Mein, Imam Hakim Aur Zehbi Ney Essey Sahih Kahan Hai)

(Sahih Sunan Abi Dawood #Hadees: 906, Wa Sanad Sahih, Ibne Kuzaima Ney: 499, Imam Hakim Ney Al Mustadrrak: 232/1 Mein Aur Zehbi Ney Essey Sahih Kahan Hai)

Syedna Abdullah Bin Zubair (Radhi Allahu Anhu) aur unke muqtadi itni buland awaaz se aameen kahan kartey thaye ke masjid goonjh utthti.

[Sahih Bukhaari #Hadees: 780, Wa Musannaf Abdur Razzaak: 2/96,97, #Hadees: 2640]

Duwa, Taauzu, tasmiya aur surah fatiha padh kar aameen keh leyne ke baad, Qur’an-e-Majeed mein se jo kuch yaad ho, us mein se kuch padhe. [Sahih Bukhaari #Hadees: 793]

AADAB-E-QIRAAT:

Rasoolullah (ﷺ) ki zawja mohtarma (Radhi Allahu Anhu) se riwayat hai: Aap (ﷺ) “alhumdulillahi rabbil aalameen” padhtey phir tehar kar “ar rahman nir raheem” padhtey phir tehar kar “maaliki yaumiddeen” padhtey thhey.

[Musnad Ahmed: 288/6, #Hadees: 26470, Wa Sanad Sahih] 

 

RAFAULYADAEEN: 

Yani dono hathon ka utthana mamaz mein chaar jagha sabit hai:

Shuru namaz mein (takbeer-e-tehrima ke waqt),

Ruku se pehley,

Ruku ke baad aur

Teesri rakkat ki (shuruwaat)ibteda mein.

In maqamaat par Rafaulyadaeen karne ke dalail darj zail hai: 

Syedna Abdullah Bin Zubair (Radhi Allahu Anhu) farmatey hai: “Maine Abu Bakr Siddiq (Radhi Allahu Anhu) ke peechey namaz padhi, wo namaz ke shuru mein, ruku se pehle aur jab ruku se sar utthatey tou apne dono hath (kandho tak) utthatey thhey aur kehte thhey: maine Rasoolullah (ﷺ) ke peechey namaz padhi tou Aap (ﷺ) bhi namaz ke shuru mein, ruku se pehle aur ruku se sar utthaney ke baad (is tarha) rafaulyadaeen kartey thhey.”

[Sunan Al Kabeer Lil Bihaqi: 73/2 Wa Sanad Sahih, Imam Bihaqi Ney Kahan Ke Iske Tamaam Rawi Siqah Hai]

Syedna Ali (Radhi Allahu Anhu) farmatey hai ke “Rasoolullah (ﷺ) namaz ke shuru mein, ruku mein jaaney se pehle ruku se sar utthaney ke baad aur do rakate padh kar khade hotey waqt rafaulyadaeen kartey.”

[Sunan Abi Dawood #Hadees: 744, Wa Sanad Hasan, Imam Tirmidhi Ney Essey Hasan Sahih Kahan Hai]

Mazeed Dalail:

Sahih Bukhaari #Hadees: 735, 738, 739 Wa Sahih Muslim #Hadees: 390, 391, 401 Wa Sahih Sunan Abi Dawood #Hadees: 730 Wa Sanad Sahih, Wa Jamia Tirmidhi #Hadees 304, Imam Ibne Hibbaan Ney Al Mawaarad #Hadees: 491 Mein Aur Tirmidhi Ney Essey Sahih Kahan. Sunan Daarqutni #Hadees: 16, Wa Sanad Sahih. (aur bhi behat se dalail maujood hai Alhumdulillah)

Hazrat Abu Hameed Saadi (Radhi Allahu Annhu) ki hadees bayaan karne ke baad imam ibne kuzaima is hadees ko riwayat karne ke baad farmatey hai: “Maine Muhammad bin Yahiya ko ye kehtey huwe suna ke jo shaks hadees-e-abu’hameed sunne ka bawajood ruku mein jatey waqt aur is se sar uththateu waqt rafaulyadaeen nahi karta tou uski namaz naqis hai.

[Saheeh Ibne Kuzaima #Hadees: 588 Wa Sanad Sahih]

 

RUKU KA BAYAAN: 

Ruku mein jatey waqt (Allahu’Akbar) keh kar dono hath kandho (ya kano tak) utthaye.

Jaise ke Ibne Umar (Radi Allahu’anhu) ka farman hai: “Nabi (ﷺ) jab namaz shuru kartey aur jab ruku ke liye takbeer kehtey tab bhi aapne dono hath kandho tak utthatey.”

[Sahih Bukhaari #Hadees: 735 Wa Sahih Muslim #Hadees: 390]

● Ruku mein peeth(pusht) bilkul seedhi rakkhey aur sar ko peeth ke barabar, yani sar na tou uncha ho aur na nichey aur dono hathon ki hateliya dono ghotno par rakkhey.

[Sahih Muslim #Hadees: 498] (hateliyon ke masley ke liye dekhe sunan nasayee #hadees: 1037 is ki sanad hasan hai)

● Dono hathon(bazuon) ko taan kar rakkhey zar qam na ho_ ghotno ko mazboot thame.

[Sunan Abi Dawood #Hadees: 734 Wahuwa Hadees Sahih, Imam Tirmidhi Ney #Hadees: 304 Mein Aur Nawawi Ney Al Maujam 407/3 Mein Essey Sahih Kahan Hai]

● Ruku ki halat mein Nabi (ﷺ) ki hateliya aap ke ghotno par yu rakkhi hoti thi jaise ke aap ne ghotno ko pakda huwa ho.
[Jamia Tirmidhi #Hadees: 260 Wa Sanad Hasan, Imam Tirmidhi Ney Essey Hasan Kahan Hai]

● Ruku ki halat mein Nabi (ﷺ) apni kohniyon ko pehluon se door rakhtey thhey.
[Jamia Tirmidhi #Hadees: 260 Wa Sanad Hasan]

Ruku Ki Dua:

Hazrat Huzaifa (Radhi Allahu Anhu) farmatey hai ke Rasoolullah (ﷺ) ruku mein farmatey:

●سبحان ربّى العظيم●

[Sahih Muslim #Hadees: 772]

Aap (ﷺ) iska hukm deyte thhey ke ruku mein “subhana rabbiyal aazeem” padhe_ dekhiye Sunan Abi Dawood #Hadees: 869 Wa Sanad Sahih, Wa Sahih Ibne Kuzaima: 601,670 Wa Ibne Hibbaan [Al Ahsaan: 1895], Wa Al Hakim: 477/2,225,1

Yamoon Bin Mehraan Tabayee (Rahimahullah) farmatey hai ke ruku sujood mein teen tasbihaat se kam nahi padhni chahiye dekhiye Musannaf Ibne Abi Shaiba: 250/1, #Hadees: 2571, Wa Sanad Hasan]

ATMENAAN NAMAZ KA RUKN HAI:

Syedna Abu Huraira (Radhi Allahu Anhu) se riwayat hai ke ek shaksh masjid mein daqil huwa, Rasoolullah (ﷺ) masjid ke ek kone mein tashreef farma thhey, us shaksh ney namaz padhi aur (ruku, sujood, qaouma aur jalse ki riaayat na ki aur jaldi jaldi namaz padh kar) Rasoolullah (ﷺ) ki kidmat mein hazir huwa aur Aap ko salaam kiya, Aap (ﷺ) ney farmaya (waalaikumus salaam) wapas jaa kar phir namaz padh, is liye ke tuney namaz nahi padhi, … … … (aise hi 3 ya 4 baar huwa, phir us shaksh ney) baqaida namaz padhney ke baad kahan: Aap (ﷺ) mujhe (namaz padhney ka sahih tariqa) seekha dey tou Aap (ﷺ) ney farmaya: “Jab tu namaz ke irade se utthey tou pehle khoob achchyi tarha wuzu kar, phir qibley ruqh khada ho kar takbeer-e-tehrima keh, phir jo Qur’an-e-Majeed mein se tere liye aasaan ho padh, phir ruku kar yahan tak ke atmenaan se ruku (pura) kar, phir (ruku se) sar uttha yahan tak ke (qaouma mein) seedha khada ho jaa, phir sajda kar yahan tak ke atmenaan se sajda (mukammal) kar, phir atmenaan se apna sar uttha aur (jalse mein) baith jaa, phir sajda kar yahan tak ke atmenaan se sajda (pura) kar, phir (sajde se) apna sar uttha aur (doosri rakat ke liye) seedha khada ho jaa, phir is tarha apni tamaam namaz puri kar..

[Sahih Bukhaari #Hadees: 793 Wa Sahih Muslim #Hadees: 397]

QAOMA KA BAYAAN:

Ruku se sar utthatey huwe rafaulyadaeen kartey huwe seedhe khade hojaye. (bukhaari wa muslim, iski taqreej tafseel se guzar chuki hai)

● Aagar aap imam ya munfrad hai tou ruku se qaoma ke liye khade hotey waqt ye padhe: 

●سمع الله لمن حمده●

[Sahih Bukhaari #Hadees: 796 Wa Sahih Muslim #Hadees: 476,478]

Aagar aap muqtadi hai to ye kahen:

●ربّنا ولك الحمد حمدا كثيرا طيّبا مّباركا فيه●

[Sahih Bukhaari #Hadees: 799]

Tambih: Behat se lougo ko qaoma ka pata nahi ke wo kya hota hai, wazeh ho ke ruku ke baad atmenaan se seedhe khade hone ko qaoma kehtey hai, Nabi (ﷺ) ruku se sar uththa kar seedhe khade ho kar bade atmenaan se qaoma ki dua padtey.

Syedna Bara’ (Radhi Allahu Anhu) se riwayat hai ke Rasoolullah (ﷺ) ka ruku aur sajda aur do sajdon ke darmiyaan baithna aur ruku se (utth kar qaoma mein) khada hona barabar hota tha, sivaye qiyaam ke aur (tashahud mein) baithne ke (ye chaar cheeze: ruku, sajda, jalsa aur qaoma tawaalat mein taqreeban barabar hoti thhi)

[Sahih Bukhaari #Hadees: 792 Wa Sahih Muslim #Hadees: 792]

Baaz awqaat Aap (ﷺ) ka qaouma behat lamba hota tha, Anas (Radhi Allahu Anhu) farmatey hai ke Nabi-E-Kareem (ﷺ) is qadar lamba qaouma kartey ke hum kehte ke aap bhool gaye.

[Sahih Muslim #Hadees: 473]

 

SAJDA KO JATE WAKT:

 

● Hazrat Abu Huraira (Radhi Allahu Anhu) se riwayat hai ke Rasoolullah (ﷺ) ne farmaya:

“Jab tum mein se koi sajda kare tou ount ki tarha na baithey balki aapne dono hath ghotno se pehley rakkhe.”

[Sunan Abi Dawood #Hadees: 840 Wa Sanad Hasan]

Syedna Ibne Umar (Radhi Allahu Anhu) ki (darj zail) hadees is par shawahid hai:

Nafen (Rahimahullah) riwayat kartey hai ke Ibne Umar (Radhi Allahu Anhu) aapne hath ghutno se pehley rakhtey aur farmatey ke Rasoolullah (ﷺ) aisa hi kartey thaye.

[Sahin Ibne Kuzaima #Hadees: 627 Wa Sanad Hasan]

 

SAJDE KE AHKAAM: 

●Sajde mein paishani aur naak zameen par tikaye.

[sahih bukhari #hadees: 812 wa sahih muslim #hadees: 490]

● Sajde mein dono hathou ko kandho ke barabar rakkhe.

[sunan abi dawood #hadees: 734 wahuwa hadees sahih]

● Sajde mein dono hathou ko kano ke barabar rakhna bhi durust hai.

[sunan abi dawood #hadees: 726 wa sanad sahih]

● Sajde mein dono hateliya aur dono ghotne khoob zameen par tikaye.

[sunan abi dawood #hadees: 859 wa sand hasan]

● Nabi-E-Kareem (ﷺ) farmaya: “Is shaksh ki namaz nahi jisne naak paishani ki tarha zameen par nahi lagayi.

[sunan daarqutni 348/1 #hadees: 2 wa sand hasan. essey imam hakim ney al mustadrak 270/1 mein aur ibne jauzi ne sahih kahan hai]

● “Paaon ki ungliyon ke sirey qible ki taraf murey huwe rakkhe” aur “khadam bhi dono khade rakkhe”

[sahih bukhaari #hadees: 828. sahih muslim #hadees: 486]

● Aidiyo ko milaye. [sunan al kabeer lil bihaqi 116/2, #hadees: 2719. imam ibne kuzaima #hadees: 654, wa sanad hasan. hakim ney al mustadrak: 228/1 mein aur zehbi ney essey sahih kahan hai]

● Sajde mein seena, paeet aur rane zameen se unchey rakkhe, Paeet ko rano se, aur rano ko pindliyo se juda rakkhe aur dono rane bhi ek dusre se aalag aalag rakkhe..
[sunan abi dawood #hadees: 730 wa sanad sahih, 734, wahuwa hadees sahih]

● Sajde mein kohniya na tou zameen par tikaye aur na karwaton se milaye (balki zameen se unchi, karwatou se aalag, kushada rakkhe)
[ sahih bukhaari #hadees: 828]

● Sajde ki halat mein Nabi-E-Kareem (ﷺ) aapne bazuon ko zameen par nahi lagatey thaye balki inhe uttha kar rakhtey aur pahloon se door raktey yahan tak ke pichliy janib se dono baghlo ki safedi nazar aati thi…
[sahih bukhaari #hadees: 807. wa sahih muslim #hadees: 497]

● Rasoolullah (ﷺ) farmatey hai:

“Mujhe hukum diya gaya hai ke main 7 haddiyon par sajda karo paishani, dono hath, dono ghotne aur dono khadmo ke panjo par aur ye ke hum (namaz mein) aapne kapdo aur balo ko ekkhatta na kare.”

[sahih bukhari #hadees: 809, 812 wa sahih muslim #hadees: 490]

Auratey Bazu Na Bichaye:

Behat se aurate sajde mein bazu bichaa leti hai, aur paeet ko rano se mila kar rakhti hai aur dono khadmo bhi zameen par khada nahi kartey, wazeh ho ke ye tarika Rasoolullah (ﷺ) ke farmaan aur sunnat ke khilaaf hai suniye!

Rasoolullah (ﷺ) farmatey hai:

“Tum mein se koi (mard ya aurat) aapne bazu sajde mein is tarha na bichaye jis tarha kutta bichaata hai.”

[sahih bukhari #hadees: 822 wa sahih muslim #hadees: 493]

Rasoolullah (ﷺ) jab sajda kartey tou aagar bakri ka bachcha hathon(bahon) ke nichey se guzarna chahata tou guzar sakta tha.”

[sahih muslim #hadees: 496]

SAJDE KI DUA:

Syedna Huzaifa (Radhi Allahu Anhu) riwayat kartey hai ke Rasoolullah (ﷺ) sajde mein (ye dua) padtey:

●سبحان ربّى الاعلى●

[Sahih Muslim #Hadees: 772]

Yamoon Bin Mehraan Tabayee (Rahimahullah) farmatey hai ke “Ruku sujood mein teen tasbihaat se kam nahi padhni chahiye” dekhiye [Musannaf Ibne Abi Shaiba: 250/1, #Hadees: 2571, Wa Sanad Hasan]

DARMIYAN JALSA:

Darmiyani Jalsa (do sajdon ke darmiyaan baithna)

Abu Hameed Saadi (Radhi Allahu Anhu) ki riwayat hai:

Rasoolullah (ﷺ) sajde se aapna sar uthatey aur apna bayan paaon mortey (yani bichaatey) phir us par baittey, aur seedhe hotey yahan tak ke har haddi apne thikane par aajati (yani pehley sajde se sar uttha kar nihayati araam-o-atmenaan se bait jatey aur duaye jo aagey aati hai padha kar) phir (dusra) sajda kartey..

[Jamia Tirmidhi #Hadees: 304 Wa Sanad Sahih]

Aap (ﷺ) ka mamool tha ke baithaye waqt apna dayan paaon khada karletey.
[Sahih Bukhaari #Hadees: 828]

Aur dono paaon ki ungliya qibla ruq kartey.. [Sunan Nasayee #Hadees: 1159 Wa Sanad Sahih]

Aur kabhi kabhi Aap (ﷺ) apne khadmo aur apni aidiyo par baittey..
[Sahih Muslim #Hadees: 536]

Nabi (ﷺ) jalsa sajde ke barabar hota..
[Sahih Bukhaari #Hadees: 820]

Jalse ki masnoon Dua:

Syedna Ibne Abbas (Radhi Allahu Anhu) riwayat kartey hai ke Rasoolullah (ﷺ) dono sajdo ke darmiyaan ye padhtey:

●اللّهمّ اغفرلى وارحمنى وعافنى واهدنى وارزقنى●

[Sauna Abi Dawood #Hadees: 850 Wa Jamia Tirmidhi #Hadees: 284. Imam Hakim Ney Al Mustadrrak 262/1 Mein Aur Zehbi Ney Essey Sahih Jabke Imam Nawawi Ney Al Majmoo 437/3 Mein Jaieed Kahan Hai, Jamia Tirmidhi Ki Riwayat Mein “Aafini” ki jagha “Wajburni” hai_ is riwayat ki sanad habeeb bin abi sabit ki tadlees wajhe se zaeef hai lekin Sahih Muslim [2697] ke shawahid se ye riwayat hasan ban jaati hai. wallahu aalam.

Dusra sajda bhi pehle sajde ki tarha karey,…  dusra sajda karne ke baad ek rakat puri ho chuki, ab dusri rakat ke liye uthna hai, lekin uthane se pehle jalse isterahat mein zara bait kar utthe is ki surat ye hai.

JALSE ISTERAHAT:

Rasoolullah (ﷺ) “Allahu’Akba”kehtey huwey (dusre sajde se) uthtey aur apna bayan paou mortey huwey (bichaatey aur) us par baittey hatta ke har haddi apni apni jagha pohach jaati, phir (dusri rakkat ke liye) khade hotey…

[Sunan Abi Dawood #Hadees: 730 Wa Sanad Sahih]

Rasoolullah (ﷺ) apni namaz ki taaq (pehli aur teesri) rakat ke baad khade honey se qabl seedhe baittey thaye.

[Sahih Bukhaari #Hadees: 823]

Jalse isterahat se uthtey waqt dono hath zameen par tika kar uththey.. [Sahih Bukhaari #Hadees: 824]

Dursri rakkat bhi pehli rakkat ke jaise padhegen, lekin rafaulyadaeen nahi karegen is mein dua-e-iftetah nahi padhegen aur taauzu bhi nahi padhegen.. surah fatiha se qiraat shuru karegen.

Rasoolullah (ﷺ) jab doosri rakat ke liye khade hotey tou surah fatiha ki qirat shuru kar detey aur sakta nahi kartey.
[Sahih Muslim #Hadees: 599]

Do rakkat padhne ke baad pehle qaide mein baithaygen..

 

PEHLA QAIDA (TASHAHUD):

Is ko Qaida-e-Oula bhi kehtey hai, dusri rakkat ke baad (dusre sajde se uttha kar) bayan paaon bichaa kar us par baith jaye aur daya paaon khada rakkhe… [Sahih Bukhaari #Hadees: 827,828]

Dayan hath ko dayen aur bayan hath ko bayen ghotne par rakkhe.
[Sahih Muslim #Hadees: 597]

Syedna Abdullah Bin Zubair (Radhi Allahu Anhu) ki riwayat mein hai:
Rasoolullah (ﷺ) jab namaz mein baith kar dua (tashahud, darood wagaira) pahdtey tou apna dayan apni dayin raan aur bayan hath bayin raan par rakhtey.

[Sahih Muslim #Hadees: [113] 579]

Rasoolullah (ﷺ) ney farmaya: “bas jab tum namaz mein (qaide ke liye) baitho tou ye padho:

●التّحيّات لله والصّلوات والطّيّبات السّلام عليك ايّها النّبيّ ورحمة الله وبركاته السّلام علينا وعلى عباد الله الصّلحين اشهد ان لّآ اله الله واشهد انّ محمّدا عبده ورسوله● 

[Sahih Bukhaari #Hadees: 831, Wa Sagih Muslim #Hadees: 402]

Rasoolullah (ﷺ) darmiyaan tashahud mein, tashahud se farigh ho kar khade ho jatey thaye. [Musnad Ahmed: 495/1, Wa Sanad Hasan]

 

RAFA E SABBABA: 

Tashahud mein ungli utthana Nabi (ﷺ) ki badi barkat aur azmat wali sunnat hai, iska sunoot sunnat e rasool se mulhaiza farmaye:

Syedna Ibne Umar (Radhi Allahu Anhu) riwayat kartey hai ke “Rasoolullah (ﷺ) jab namaz (ke qaide) mein baithtey tou apne dono hath apne dono ghotno par rakhtey aur aapni daheni ungli jo anghotey ke nazdeek hai uttha letey, bas us ke sath dua mang letey.”

[Sahih Muslim #Hadees: 580]

Nabi-E-Kareem (ﷺ) dayen hath ki tamaam ungliyo ko band kar letey, anghotey ke paas wali ungli se ishshara kartey…
[Sahih Muslim #Hadees: [116] 580]

Syedna Abdullah Bin Zubair (Radhi Allahu Anhu) riwayat kartey hai ke “Rasoolullah (ﷺ) jab (namaz mein) tashahud padhney baithey tou apna dayan hath dayin aur bayan hath bayin raan par rakhtey aur shahadat ki ungli ke ishshara kartey aur apna anghota apni darmiyani ungli par rakhtey.”

[Sahih Muslim #Hadees: 579]

Syedna Wail bin Hujar (Radhi Allahu Anhu) farmatey hai: “Rasoolullah (ﷺ) ne ungli utthayi aur aap usse hilatey thaye.”

[Sunan Nasayee #Hadees: 890 Wa Sanad Sahih. Ibne Hibbaan Ney Al Mawaarad #Hadees: 485 Mein Aur Ibne Kuzaima #Hadees: 714 Mein Essey Sahih kahan]

Sirf “Lailaha illallah” kehne par Ungli utthana aur kehne ke baad rakkh deyna kisi riwayat se sabit nahi hai..

Shaikh Al Bani “Rahimahullah” farmatey hai: Ungli ko harkat na deyne wali Riwayat Shaz ya Munkir hai lehaza is se #Hadees: -e-Wail ke muqabley mein lana jaiz nahi hai…

Tashahud mein shahadat ki ungli mein thoda sa kham hona chahiye.
[Sunan Abi Dawood #Hadees: 991 Wa Sanad Hasan]

 

AAKHARI QAIDA (TASHAHUD): 

Is aakhri qaide mein Rasoolullah (ﷺ) yu baithey thhey jaise ke Abu Hameed Saadi (Radhi Allahu Annhu) bayaan kartey hai ke jab wo sajda aata jis ke baad salaam hai (jab aakhri rakat ka doosra sajda kar ke farigh hotey aur tashahud mein baithtey) apna bayan paaon (dayin pindli ke niche se bahar) nikaltey aur aapni bayin janib ke khole par baith jatey.”

[Sahih Bukhaari #Hadees: 739]

Bayin janib khole par baithna “tawarruk” kehlata hai_ ye sunnat hai_ har musalmaan ko aakhri qaide mein tawarruk zaroor karna chahiye_ kitne afsoos ki baat hai ke hummari auratey tou aakhari tashahud mein tawarruk kare aur mard is sunnat e Rasool (ﷺ) se mehroom hai.

Nabi-E-Kareem (ﷺ) ney ek shaksh ko mana kiya jo tashahud ki halat mein bayen hath par taik lagaye huwe tha aap ney farmaya: “Tu is tarha na baith kuy ke (namaz mein) is tarha baithna un (yahudiyon) ka tariqa hai jinhe aazaab diya jaata hai.”

[(hasan) Sunan Abi Dawood #Hadees: 994, Wa Musnad Ahmed: 116/2, Iski Sanad Hasan Hai]

Jab aap is qaide mein baithay tou pehle attaihyaat padhe jis tarha doosri rakat padh kar aap ney qaide mein padhi thi. aur rafa e sabbaba (shahadat ki ungli uttha kar ishshara) bhi kare. attaihyaat khatam kar ke darood-e-ibraheem padhe.

 

DAROOD-E-IBRAHEEM:

●اللّهمّ صلّ على محمّد وّعلى آل محمّد كما صلّيت على ابراهيم وعلى ال ابراهيم انّك حميد مّجيد●
●اللّهمّ بارك على محمّد وّعلى آل محمّد كما باركت على إبراهيم وعلى آل إبراهيم انّك حميد مّجيد●

[Sahih Bukhaari #Hadees: 3370]

Darood ke baad ye dua padhe:

●اللّهمّ انّى اعوذ بك من عذاب جهنّم و من عذاب القبر ومن فتنة المحيا والممات و من شرّ فتنة المسيح الدّجّال●

[Sahih Muslim #Hadees: 588]

NAMAAZ KA AQTETAAM:

Syedna Abdul bin Masood (Radhi Allahu Anhu) riwayat kartey hai ke Rasoolullah (ﷺ) apne dayin taraf salaam phairtey tou kehtey: assalamu aalaikum wa rahmatullah aur bayin taraf salaam phairtey tou kehtey: assalamu aalaikum wa rahmatullah.”

[Sunan Abi Dawood #Hadees: 996 Wahuwa Sahih] 

————————————- 

Taken From: Namaz E Nabawi. (sahih aahadees ki roushni mein).
Tarteeb: Dr. Shafiq Ur Rahman Hafidahullah.
Tehqeeq Wa Taqreej Hafiz Zubair Ali Zai Rahimahullah.
Romanised By :Syed Ibraheem Salafi 
Published By: Darussalaam.  
 —————————-
Mazeed Namaz ke Masail ke Liye Shaykh Abu Zaid zameer ka Tafseeli video Dekhiye You Tube Link: CLICK KAREN
———————–

Mazeed Articles Aur Videos ke Liye Hamara Face Book PAGE ko Visit Karke LIKE Karen 👍 LINK :

 https://www.facebook.com/thewayofsalafiyyah/

Aur 

 JOIN OUR TELEGRAM CHANNEL – LINK : CLICK HERE

(or)

Aapka Face Book APP mein Hamare PAGE Aisa Search Karen : 

 

page 1 
page 2

3 thoughts on “Namaz-e-Nabawi (Takbeer-e-Oula se Salaam tak) Saheeh Hadees ki Roshni Mein

  1. Brother very good work Allah mazeed kam ly ap sy

    Like

  2. Assalamualikum warahmatullahi wabarakatuh aap log bhut achha kar rahe hain mai Allah subahanawatala se dua karta hoon ki aapko aur behtari karne ki toufique aata farmai Aameen mujhe kuch samjh nhi aata tha ki mai kiya karun kon sahi magar the way of salfiyyah ke courses se mujhe bhut faida mil raha hai 🤲🤲🕋🕋

    Like

  3. Kia tashhad, darood or dua dykh kr parh skty ha agr kisi ko zubani yad na ho to????

    Like

Leave a comment

search previous next tag category expand menu location phone mail time cart zoom edit close